Skip to main content

Posts

Showing posts with the label bashir badr

Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha

Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha; Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha; Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin; Makaa'n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha; Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate; Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha; Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi; Woh Aik Pau'daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha; Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par; Kisi Ka Hath Hamare Labo'n Tak Aya Tha; Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf; Samundro'n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha; Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta; Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha!