Skip to main content

Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha

Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha;
Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha;

Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin;
Makaa'n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha;

Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate;
Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha;

Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi;
Woh Aik Pau'daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha;

Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par;
Kisi Ka Hath Hamare Labo'n Tak Aya Tha;

Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf;
Samundro'n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha;

Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta;
Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha!

Comments

Popular posts from this blog